Tinka tinka jod banata hu zindgi
koi aawara hawa ka jhonka aa kar
bikher deta hai tinka tinka zindgi
do aansoo baha fir se jeene lagta hu
tujhe aye zindgi
tujhe jeene ka shauk nahi raha
per fir bhi tujhe jeeye chale jaa raha hu zindgi
raaho me tere milte hai roz
naye log ,naye sabak, nayi raahe
aur dikhti hai manzile nayi
falsafa zindgi ka yahi
ghamo ko pee
jeeye chale ja ye zindgi
jaise main madhosh hua
chalta raha nayi raaho per
ek jaadui safar ye zindgi…
Panchal Sahab,
ReplyDeleteZndgi k prati jo nazriya aapne rakha he,
shayad sabhi waisa hi mehsus karte he.
Bahut khooooooob......
Anmol